Sunday, August 20, 2017

"Jeet, ek sapne nahi, Sankalp hai"

Kuch kadum dheere chalo,  Saso ko thakan na ho, manzil dekhe jab samne phir gatti badha lena. Tum akele nahi Yeh toh ek bhid chal hai...

Wah wohi pochega jo sachhi aur lagan se Kadam badhayega
Kuch kadam dheere saso ko thakan na ho..

Lage viprit paristithiya agar,  rukna nahi bus Kadam dheere kar lena....

Raste me agar Ghor andhera chha jaye,  tum rukkna nahi,   viswas ho agar  sath Ujjala khud ba khad ho jayega, bus tum rukna nahi ..

Dehre ho Chal toh ab bdha lena,  tum bus kuch door ho manzil se , Jeet ko gale laga lena,
Jeet himmat walo ke takder hote hai, kyo ki jo koshisk karte hai Unnke har nahi hote...

Saturday, August 12, 2017

Gorakhpur tragedy

[8/13, 3:17 AM] 

"Main bhilak kar rota nahi agar tu kamzor na hote Maa, 
Main sehmata nahi agar Tu mazbor na hote Maa.

Mere jane pe tu tutna nahi Maa,
inn kursi ke rakhwalo ko kosna nahi Maa,
Bus itna kehna unko maine 'Tirange' pe naaz kiya, vande matram ka nara bhi lagaya,  gai ko hamesha tera darza diya ,
Phir Kyo mujhe Yeh saza mile ?
Phir Kyo mujhe sanse na mili?

Mere pass ke bistar par 'Ommar' tha, woh bhi bekasur tha me bhi bekasur,  sanso ko jab sanse na mili usne mere aur Dekha aur bhilakte hue kaha "albida bhai" .
Ab me bhi harne laga tha Maa..

Maa, andhera Cha raha tha,  dum ghut raha tha,  ankhe tujhe  dhund  rahe thi , kash ek baar tu seene se laga lete ek baar tu seene se laga lete...
Me bebas tha,  charo aur kai aur Nanhe farishte zindagi se ruksat ho rahe the,  ab jab hum sab is duniya me nahi, 

Maa tu bus itna karna Kal koi aur bacha sasko ko na tarse, koi aur bacha saso ko na tarse...